Menu
blogid : 7632 postid : 9

Dhere Dhere

sehan bikhrav ka
sehan bikhrav ka
  • 9 Posts
  • 5 Comments

Hajaron logo ke beech base hai hum
huqumat sab kare to sab acha
par waqt jaha jara sa palta to huqumat dhari ki dhari reh jati hai
ek hi tinke ne kitne jharokho ko dekha
pehle jharoke ne use hawa ke saath udaya
or wo kisi tehni ka sahara ban gaya
dusri hawa aai to use kisi mahal me pahuchaya
or mali ne use jhadoo se bahar ka rasta dikhaya
tisri bar wo kisi chidiya ko mila
or usne usko apna ghosla banane me istemal kiya
chauthi bar wo uda or pani me gira or
lehre use le gayi bahut door gisi gaao me
jaha ek gaaye paani pee rahi thi or
usne paani ke saath saath us tinke ko bhi pee liya.

Yaha sab kuch prakirti ne kiya
usne us tinke tak ka bhagya likha tha jo tehniyo se gujarta, mahal se, chidiya ke ghoslo se to phir, akhir me pani me chalta chalta apni manjil tak pahuch gaya.

dhhere dhere hi sahi sabka bhagya sawerga bhi aur nikhre gaa bhi
har koi sone ki plate me har dam nahi reh sakkta
to har koi kichad me paada paada har same nahi saad sakta
sab kuch usi prakirti ke hi kaam hai…

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply