Menu
blogid : 7632 postid : 8

Kitne hi sawaal

sehan bikhrav ka
sehan bikhrav ka
  • 9 Posts
  • 5 Comments

Manushya ke man kitne hi sawaal hai
har koi kisi na kisis uljhan me fasaa yaha har pal dikh raha hai
koi apni khaanne ki aadto se pareshaan hai
to koi apni chintaao se
koi apne rishtedaro se pareshaan hai
to koi acha na kar pane ki wajah se
kisi ko ek samay ki roti nahi naseeb hoti
to kisi ko apne swaaloo ka hal nahi milta
koi sab kuch hai par phir bhi ghut raha hai
to kisi ko apni parawah nahi bas waqat ke saath saath saas lekar ji hi raha hai
bade hi swaal hai sabke man me
chup hai sab dhundte firte bas apne swaaloo ke jwaboo ko
halat aisi ho gai hai ki ab to apni bhi parawah nahi
yahi swaal ka pitaara ek din itna bada ho jata hai ki boojh lagne lagta hai
phir kya har koi issse bhaagta phiirta hai
par hamari jitni samajh hoti hai utna hi smajh paate hai
baki shesh yahi reh jata hai
ki chodo yar samay ke saath saath sab theek ho jaana hai
or aant me yahi swaal hame tang kar sharir ko nuksaan pahuchaate hai
or akhir me hame apne saare swaaloo ke jwaab to mil hi jaate hai
farak bas yahi hota hai ki pehle ham jyada parwah karte the inki
or ab chod diya hai parwah karna
or tabhi ek hi man me itne saare prashan milkar ek aisa jwaab dhundte hai jisse swaal to kya manav jeevan bhi safal ho jaata hai
kunki abhi tak tum us dar pe nahi aaye the jaha wo tumhe bulana chahta tha.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply