Menu
blogid : 7632 postid : 4

Maa – ek anmol dhaga

sehan bikhrav ka
sehan bikhrav ka
  • 9 Posts
  • 5 Comments

Maa takat hai, Maa Shakti hai,
Maa aina hai, Maa pavitra Bhakti hai,
Maa Kali hai, Maa pyari hai,
Maa sabse bholi bahli hai.

Maa sukoon hai, Maa junoon hai,
Maa farishta hai, Ankhon ka sakoon hai,
Maa anmol hai, Maa ek angar hai,
Maa meri kalpanoo me basti hai
Maa hi mere kal ka bhavshiya hai
Maa ped ki vo chaya si hai ,
Maa ugte suraj ki kiran bhi hai.

Maa shakti bhi, Maa honsla bhi,
Maa samarpan bhi, Maa akaash bhi,
Maa awaz bhi hai, Maa geet bhi hai,
Maa mere man ka raag bhi hai.

Maa jharna bhi hai, Maa dariya bhi hai
Maa fuloon ka ambar bhi hai,
Maa simti si bhi, Maa behti si bhi,
Maa khoker deti rehti bhi.

Maa ishwar ki perchai bhi, Maa sone ka taaz bhi,
Maa janat hai, Maa heera hai,
Maa mere man ka sukh bhi hai.

Wo har waqt ladti rehti bhi hai,
Kuch nahi kisi se kabhi kehti hai,
Wo rishto ko sametti bhi hai,
Wo jeevan ka raag bhi bahi,
Aur mere man ki takat bhi.

Wo yaad hai, Wo geet hai,
Maa pure vishv ka sangeet hai,
Wo fariyaad hai, Wo khaan hai,
Maa mere man ki aas hai.

Wo Janamdatri bhi hai,
Maa viksit Desh ki buniyaad bhi hai,
Maa mamata ki vedi par Khilte fuloon ka ambaar bhi hai.

Maa soch hai mere jeevan ki,
Maa meri kalpana shakti hai,
Maa beshkimti murti bhi,
Maa sukh samridhi ki chaon si hai.

Pyari hai Maa, Karuna hai Maa,
Maa anmol, Maa Swarglook hai,
Maa mamtamai murti hai,
Maa mere jeene ka adhaar hai,
Maa mere dil ke jajbaat hai,
Maa Mujhe bahut anmol hai,Maa mujhe bahut anmol hai.

Me kuch nahi chahti , Me kuch nhai mangti ,
Bas iske anchal me chupna chahti
Maa waqt ka wo pahiya hai,
jo jeevan bhar ka muqaddar hai.

Ise Pujo, Isse sikho,
Ye atyant paavan aur vandaniya hai,
ye vishaal rajyaa ki shobha hai.

Yahi udarta , Yahi hai lakshaya,
Yahi jeevan ki neev bhi hai.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply