Menu
blogid : 14739 postid : 30

ek stree hoon main

Meri Rachanaye
Meri Rachanaye
  • 107 Posts
  • 13 Comments

http://mystories028.blogspot.in/2013/04/ek-stree-hoon-main.html
Haan ek stree hoon main, main hi ek maa, premika, patni, beti aur bahoo hoon kyonki haan ek stree hoon main,
Main hi saas, nanad, jethaani aur devraani hoon, main hi mausi, chaachi aur maami hoon kyonki haan ek stree hoon main,
main hi Daadi aur Naani hoon, baalika, yuvati, adhed aur bujurg hoon main, kal aaj aur kal bhi hoon main, main jagat ki janani aur apno ki paalanhaar hoon,
karte hain poojan log mera vidhata ka hi ek roop samajh kar, bulaate hain log mujhe apna bhaagya samajh kar, lekin jab main aati hoon uss ghar mein beti, bahoo aur patni ban kar lagti hoon khalne unhe jaane kyon, hoti hoon apmaanit jab main chali aati hoon unke ghar aangan mein usse apna samajh kar shayad isliye kyon ki ek stree hoon main,

par nahi karti kabhi koi shikwa kisi se, nahi rakhti koi gila kisi se,aur karti rahti hoon sada roshan uss ghar ko jahan main hoon rahti, karti hoon arpan uss ghar aangan ko jahan main hoon rahti, samajhti hoon sab ko apna, nahi karti apna aur begaana, deti hoon chhoto ko pyaar aur apno ko samman kyonki haan ek stree hoon main,

Nahi maangi iss duniya se apne liye kabhi dua, karti hoon fariyaad bhi uss rab se jinke ghar aangan mein rahti hoon main, nahi koi khushi meri zindagi mein bin apno ki khushi mein, nahi zinadagi mein meri koi umang bin apno ke saath mein, hai samarpit apna jeevan bas apno ke saath mein kyon haan ek stree hoon main,

Reeti riwazon ke naam se hona padta hai mujhe apne janm dene walon se juda, apnana padta hai unhe jo hote hai ajnabi aur hote hain mere mata pita se ek dam juda, par kar ke khud ko uss ghar aanagan mein samarpit apna leti hoon unko bhi, karti hoon pyaar uss ghar ko bhi jahan main hoti hoon kabhi ajnabi auron se bilkul juda, maan kar unhe hi fir apna ho jaati samarpit uss ghara aangan mein kyonki main ek stree hoon,

par aaj baith akele mein sochti hoon main, nahi maangi kabhi koi dua bhi uss rab se apne liye,kisi se apne liye bhi na chaaha hai abhi tak kuch,

karti hoon roshan har uss ghar ko jahan main jaati hoon pahuch, reeti riwazon ke naam pe mera daan diya jaata hai kar, pahucha ke ek ajanabi ghar mein mata-pita ko bhi hota hai bada harsh, main bhi unki khushi ke khaatir uss pareewar ko bhi hoon apna leti, uss ghar aangan mein bhi hoon khud ko hi samarpit kar deti, nahi maangti apne liye koi dua, karti hoon fariyaad bhi unke liye jinke saath mera janm se le kar maran tak ka rishta hai juda hua(maayeke se sasuraal tak),

sochti hoon aaj main kar ke apni khushiya apno ke naam aakhir mujhe mila kya, kadam-kadam pe apmaan aur ashkon ke siwaa iss duniya ne mujhe diya kya, kasoor kewal itnaa sa hai ki haan ek stree hoon main, kasoor shayad itnaa sa hai apno pe samarpit hoon main, kasoor itnaa sa hai shayad mera ki apno se karti hoon beshumaar mohabbat hoon main, badle mein nahi maangti unse kuch, badle mein nahi chaahati chaahat ke siwa aur kuch, sone-chaandi aur dhan-daulat bhi thukara deti hoon apno ke liye main, par fir bhi kyon nahi iss samaj mein samman ke kaabil hoon main kya isliye ki aur stree hoon main,

kyon kadam-kadam par mera upahaas hota hai, kyon har kadam pe ye samaj meri izzat har baar taar taar karta hai, hoon main har kahi aur har jagah fir kyon nahi iss duniya mein samman ke laayak hoon main, hoon nahi bebas main par haan bandhi hoon apno ke pyaar mein jarur main, hoon nahi bebas main haan thaam rakhi hai door apne ghar aangan ke khushi ki maine, hoon nahi mazboor ki je na saku apne liye par jeeti hoon fir bhi iss samaj ke har ghar mein pareewar ki khushi ke liye, isliye nahi ki ek stree hoon main, bebas aur laachaar hoon main, jeeti hoon bas ek ummid ke saath kaash samajh aa jaaye iss duniya ko ki main koi nirzeev nahi balki jeeti –jaagti jeev hoon main, nahi karti laalsa kisi se bas aaj itnee se karti hoon de ye samajh poora adhikaar mujhe bhi zindagi jeene ka, mile mujhe bhi har samman zindagi jeene ka, bas jyada kuch nahi chaahati hoon main, kewal duniya se baraabari ke hak ki abhilaashi hoon main,apno ke pyaar ki pyaasi hoon main, jhooth aur dhokhe se dur bas ek pyaar bhari duniya chaahati hoon, ek samman bhara jeevan jeena chaahti hoon main, bas itnaa hi chaahti hoon main kyonki haan ek stree hoon main,
http://mystories028.blogspot.in/2013/04/ek-stree-hoon-main.html
Thanks & Regards

Archu

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply