Menu
blogid : 14739 postid : 581439

main khush nahi hoon-hindi kavita

Meri Rachanaye
Meri Rachanaye
  • 107 Posts
  • 13 Comments
“hu tere sath har pal me, hu tere sath pal pal me lekin mai khush nahi hu,
muskurti hu mai teri har baat pe, chalti hu teri hi har rah pe lekin mai khush nhi hu,
aankho me ashk chhipa ke jhuthi khushi tujhe jatati hu, hoon tanha kitni mai aur khud ko akela hi paati hu par mai khush nhi hu,
deti nhi ilzaam apne dard-e-dil ka kisi ko, na hi kisi se kuch kehti hu lekin mai khush  nahi hu,

mile jo tohfe tujhse aur zamane se muje meri wafa ke badle bewafai ke, mile hai jo gam muje tujhse aur zamane se meri bhalai ke burai se, hoon khamosh nahi karti shikwa tujhse aur iss zamane se, par main khush nahi hoon,

dekh meri jhuki hui palke samjta hoga tu aur ye zamara sara ki khushi mein palke jhukaaye baithi hoon main par main khush nahi hoon,

tere aur zamane k diye inn zakhmo se mile ghaw ko pa kar dil pe lagi iss chot ke dekh kar samajhta hai shayad tu ki bahut khush hu mai har baat ko bhula kar, har gam ko dil se mita kar lekin na bhool saki hoon main kuch aur na bhula sakti hoon wo tohafe gam-ae-tanhai ke,

beeti baaton ki tees dil mein uthti hai har pal aur aankhon se behate askhon ki nadiya ke saath dil se bas ye hi aawaz aati hai pal pal ki mai khush nahi hu, haan main khush nahi hoon..”

http://mystories028.blogspot.in/2013/08/main-khush-nahi-hoon.html
http://mystories028.blogspot.in/2013/08/main-khush-nahi-hoon.html

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply