Menu
blogid : 12711 postid : 6

sarjak

अनुभूति
अनुभूति
  • 8 Posts
  • 0 Comment

kaun kahta hai ke mai
kavi sahityakar nahi
srujak shilpkar nahi
meri srujansheelta ka
meri adbhut kruti ka namuna
dekhna ho to-
kisi shishu ko god me uthaiye
uski nirmal drishti se bhi pavitra
…aur sunder
kya koi kavita ho sakti hai.
uski hansi se bhi prabhavi
…aur mukher ,kya ho sakta
hai koi sahitya?
jo bandh le apki bhavna aur gati
jabtak ki aap uske sath
layabadh na ho jaye .
kya isse bhi sunder hogi
koi shilpkriti ka namoona
kya iski muskan se bhi mohak
hogi monalisa ki muskan
itna adbhut aur itna jeevant.
kya aap jante hai ki mai kaun?
mai ek ladki hoo.
ghar ki chahardiwari me
yugo-yugo se band
aseem jijeevisha aur ruchiyon ka
vistar liye.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply