zindegi kaisi ye paheli hai
- 4 Posts
- 0 Comment
Kabhi manjile hua karte the mere
Man mei aya karti thi kuch batein
Hasil karne ko wo sab kuch
Kehti hai duniya sapne jise;
Thi meri bhi ek chahat, ki
Mein banjau kuch khas,jise
Duniya ne darza uncha diya
Sab logo ne jise apna kaha.
Me gandhi,bhagat,sachin ya
Fir chacha ki batein nai kar raha
Na hi dhan kuberon ki charcha
Bakhan raha hu me apni kahani
Jo adi se ant tak dukhad hai !
Sirf do panktiyo me simit hai !
Galat na kahu to ek paheli hai
Manjil meri aaj dhoomil hai !
meri badi bahan thi,mujhme
kuch dekhi thi,wo chal basi-
manjile dhah gayi.
kahani adhuri rah gayi.
Read Comments