Menu
blogid : 7639 postid : 7

ANNA KI ANDHI

nishant
nishant
  • 9 Posts
  • 5 Comments

Anna ki andhi

Ye uth Khara ye dhambh dekho,
Kaisa untardwand deho,
Janta ko sansad ki garima batayee jati hai.
Janta to nimitt hai,
Sansad sarwopari hai ka gyan,
Padhi or padhai jati hai.

Kis vidyalay se uttirn hue o
Kis pustak se sanlagn hue.
Loktantra janta ka, janta ke liye , janta ke dwara hai.
Ko bhuli or bhulaee jati hai.

Anna ki ek awaj aye.
Loktantra ke sur main ek saj aye
Lokpal humara adhkar hai,
Ye baba ramdev ki pratham ladai nahin.
Is bar aar-par hai.

Sun lo ye sarkari tantra ,
Anna ka hai yahi mantra
Yah budhi hin antratma ki awaj nhain !
Budhi wisad mastisq ki agaj hai.
Lalat Gandhi vivekanand ki soch se lal hai.
Bandook ki goliyon se lal nahin.

Main samay hoon.
dekh raha hoon inko mahabharat se aaj taq.
Hastina pur se delhi ke raj taq.
Ye danmbhi dambh main madchur rahe hain.
Janta ke sapne inke ahankar tale chur-chur rahein hain.

Udhistir nein manga tha panch gram
Kaha rakh lo apni dharti tamam.
Anna ne mangi hai hai tin mang
Kaha rakh lo apni satta tamam.

Tum kamjoor rahe ho her dam
inke ghrinit sonch ke aage.
Aaz waqt aagya hai .
Aana ki anhi main bah ke to dekho .
Hindustan panhuch jaye ga 100 sal aage.

Yah bhi inhe manjoor nahin hai.
Kahte hain,
Yah kanoon sangat nahin.
Or hum sata main magroor nahin hain

Aaz bharat mata ko tum se
Ek naye jeevan ki aas hai .
Islyiye rooko nahin,
Joor jao
Kyon ki punah mahabharat likh rahe ganesh
Or likhwa rahe ways hain.

Tags:   

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply