Menu
blogid : 5338 postid : 24

Teesri aankh Gyaan ka prayaay ya Bhautikwaad ka

Kavita
Kavita
  • 65 Posts
  • 43 Comments

Dharm athwa mazhab ek aisa shabd hai jo anayaas hi shradha aur aastha se hume jodta hai.
Harek vyakti ka apna apna mat hota hai aastha ke prati.Harek vyakti ki apni apni soch hoti hai
dharm ke prati aur praya har dharm ka vyakti apni saamarthya ke anusaar apne dharm ke
prati samarpit hona chahta hai,samarpit hota hai.
Dharm athwa mazhabwaad ke aaj tak kaise parinaam aaye hain isme main nahi jana chahunga
kyunki manav sabhayata mere hisaab se ab tak asli manak hi nahi bana paayi.Jitni bhi baaten
hume shaastra upnishad batate hain ya har dharm ki mool baaton ka hum saar dekhen to ve praya
sahisnuta,shanti,prem,bhaichara,daya,karuna,manavta ki oor ingit karti hain.
Lekin aaj tak hamare samaaj ne inhe highlight nahi kia,aaj tak logon ko inkasauti par dekhne ka
rivaaj nahi chala,aaj tak inhe manak bana ke humare samaaj ne kisi vyaktitva ka aanklan nahi kia.
Isi vajah se apraadh,hinsa badhte gaye kyunki maansik roop se athwa vyaavhaarik roop se in
aamolya wa saargarbhit neetiyun ka anusaran apne jeevan me karna humne shuru nahi kia.
Apvadit roop se chhod den to aaj lagbhag har dharmalabi thhaga ja raha hai,ya to apne aadhe
adhoore gyaan ke karan ya phir sachhe gyaan ki utkat abhilasha na hone ke karan.
Inke isi bholepan aur agyaan ka fayda uthate hume aaj kai log dikh jayenge.
Isi agyaanta ko chunaav ke samay neta bhunate hain aur baki saal bhar dharm ko karobaar banaye hue log.

kai to roz hi TVchannels/samaaj pe khuleaam digbhramit karte dikh jayenge aur kyun na ho jab samaaj ka budhhijeevi varg bhi chup ho jata hai aur aise logon ko mahimanadit karta nazar aata hai.
Ye sach hai ki sachhe guru bahut kathinta se milte hain hamesha se hi Sant Kabir ji ,Raidaas ji,Gurunanak ji,Samarth Ramdas ji,Eknath ji,Tuakaraam ji aadi aise kai sant hue jinhone janmanas ko satya wa gyaan ka path dikhlaya.Durbhaagya hai ki kuch channels ko chhodkar hamari elctronic media inhe va inke aadarshon ko highlight nahi karti.
Usi parampara me Swami Ramsukhdas ji(1904-2005) jaise sant hue jinki vani maatra se logon ke man buddhi nirmal hojate the,
aaj bhi Kripalu ji aur Morari bapu sareekhe sant hamare beech hain jo jan manas ko nirantar gyaanonmukh karte hain,satsang ki taraf prerit karte hain hume chahiye ki hum aise mahaan purushon se tatvagyaan grahan karen aur bhautikwaad wa sansarik sukh ko sabkuch batane vale babaon se bache.
Dekhiye mera maanna hai ki aastha aur shradhha raajneeti ya paise banane ka katai mudda nahi aur  aisa karne ka badhawa hargiz bhi nahi dia jana chahiye.Shradhalu jan ki aastha badhane hetu,utpann karne hetu paisa nahi vivekgyaan,tatvagyaan aur saadhna ki aavshaykta hai.
Mera aise swami logon ke charano me koti koti vandan hai jo agyaani janta va sadhak ko apne gyaan roopi vachano dwara tusht karte hain,unhe parmaarth ke path par aage badhne ko protsahit karte hain,satkarm aur satsang ki oor agrasar karte hain.Bharat bhumi nishchit hi dhanya hai jahan aaj bhi aise mahapurush hain jo apne gyaan ki ganga se logon me vivek,bhakti,gyaan,vairaagya jagaye hue hain.
Guru ki aavshayakta ka varnan kai jagah milta hai aur nishchit hi guru ke sanidhhya me maargdarshan me saadhna karna saubhaagya hai sadhak jan ka,parantu aaj ke yug me sachha guru milna behad behad mushkil hai,haan asambhav nahi.
Islie sachhe guru ki khoj karte rahen parantu sachhe bankar aur na milne ki surat me hataash na hon aur sadgranthon ko apna guru maan len,athwa apne ishtdev ya bhagwaan ko hi guru maan len,parantu paise ki baat karne vale guru me apni shradhha rakh shradhha wa apni aastha ko ghalat disha me na le jaayen.
Main ye bhi maanta hun ki vyakti apni aastha ya mannat poori hone pe jo bhi chadhaye ya kisi bhi mandir me chadaye ye uski aastha ka vishay hai,sabkuch to prabhu ka hai jo bhi jo kuch use prem se deta vo grahan karta hai.
Parantu har vyakti ko ye jaanna atyant aawashyak hai jiski shikchha kai sant aaj bhi dete rahte hain ki shaastra,upnishad padhen,unka anusaran karen,sansaar me rahen,karm ko pramukhta bhi den parantu apni aasakti is nashwar sansaar me nahi us avinashi parmatma me lagayen.

Ek sachha guru hume apne har karm ke dwara eesharonmukh karayega,hume vishay vikaar se mukt karayega,tatva gyaan de kar
man mastishk ko pawan kar aatma ki saarvabhaumikta,sarvyaapt.ta batata hai,vo eeshwar aur jeev(manushyun) ke beech ek setu ki tarah hota hai, ek nimitt hota hai,islie aise guru aur parmaatma me do bhaav nahi rakhne chahiye.Ek samarth guru apne jaisa samarth hi banata hai athaart guru hi banata hai.
Parantu ek dhongi guru ya aisa guru jo paise ki baat par zyada zor deta hai ya phir hume tatvagyaan nahi deta,hume sirf chadhawa ki prerna deta hai.
Aisa ghalat hai aur dharm ko maadhyam banake aise paise ka karobaar nahi hona chahiye.Aise guru sadhakjan aur eeshwar ke beech me swayam hi rukawat ban jaate hain kyunki eeshwar ki taraf le jane ke bajaay vo logon ka dhyaan sansaari cheezon me laga dete hain.

Koi baba hume ye batane ki jagah ki sansaar nashwar hai,aatma hi shaashwat hai,hamari aasakti hamare karmon me rahe karmphal me nahi ye sab batane ki jagah agar apne samagam me sirf apne ko mahimamandit karta hai to ye anuchit hai.
Main aise logon se bhi ye nivedan karna chahunga ki aapka sab anusaran karte hain,aap bhale paise ki baat kijiye parantu logon ko zyada se zyada satsang,satkarm,sadacharan,gyaan,vivek ki baaten bhi batlaaiye,isi me sabka sachha hit nihit hai.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh