Menu
blogid : 14902 postid : 5

MENKA……

mothers day
mothers day
  • 13 Posts
  • 5 Comments

AAJ HUM BAAT KARTE HAI MENKA KI…..
Menka jo ek samanya va sadharan si nari h. Jab choti thi to sari dharti naapna chaheti thi, sara amber apni mutthi mei sametna chaheti thi. Jo har chhoti chhoti baat mei khush hoti thi. Choti choti khushiyan aur chote chote sapne the uske. Bachpan se lekar bade hone tak mata pita ke kahe anusar zindagi jiti rahi. Jaisa ki amuman har kisi ke sath hota h badi hui mata pite ne shaadi kar di, kaha ab jo b karna chaheti ho apne sasural jake karna. Usne socha sasural mei aake sabka dil jeet legi, kabhi kisiko koi shikayat ka mauka nahi degi. Ghr mei sab khsh rahen isliye usne apne aap ko unke anusar dhal lia. Apne sapne chor ke ghr ke baki sadasyon ke sapne pura karne mei unki madad karne lagi. Isi tarah samay bitta gaya, bache bade ho gaye. Hamesha dusron ka khayal rakhne wali MENKA ke liye koi b uska khayal rakhne wala nahi raha. Jo sabki khushi mei shamil hoti thi uski khushi ka dhyn rkhne wala koi na tha. Kitna b sabke liye karti fr b har kisi ko kch na kch shikayat rehti, kisiko usmin kabhi koi khubi najar he nahi aati thi, kisike b pass uske sukh dukh batne ka waqt he nahi, uski choti se choti khwaish puri karne ka b kisike pas samay nahi hota tha.

Ab wo aise mod pe aa gayi h ki use apni zindagi se nafrat ho gayi h ki usne jinhe itna pyar dia itna samman kia unke dil mei uski koi b ijjat nahi h. Use aaj lagta h ki wo kal b akeli thi aur aaj b akeli h.

DEKHA JAYE TO YE KAHANI EK AKELI MENKA KI NAHI BALKI HUM SABHI KI KAHANI LAGTI H….

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply