Menu
blogid : 15237 postid : 573146

Sarangiwala…

मेरी बात
मेरी बात
  • 38 Posts
  • 15 Comments

Mera ek dost hai ,jo yahin Lucknow me hi kisi institute me guitar seekhta hai…
Aaj jab wo mila to shayad guitar ki class kar ke aa raha tha.,uske hath me ek dairy thi jisme suron ki bhasha me kuchh likha hua tha, jo ki mere smajh se bilkul pare tha…

Uski dairy dekhne k baad maine use kaha “yaar kya likha hai ye sab ,mujhe to kuchh samjh me ni aa raha” to usne kaha ye tere smjh se pare hai..hanste huve mujhse apni dairy li aur chala gya..

Uske baad mai paas k park me baidh kar uske class k baare me sochne lga aur kafi der tak usi me uljha raha….

Tbhi mujhe us “SARANGI” wale ki yaad aa gai.jo kabhi hamare gaon ki galiyon me sarangi bja k bhiksha manga karta tha..

Bahot hi madhur dhun bjata tha aur geet bhi gata tha..
Uska geet to mujhe samjh me ni aata tha,par wo jo apne geet me Radha aur Krishna ka naam leta tha wo mujhe jarur samjh me aata tha…

Hum bachcho ko Jb bhi uske gaane ki aawaz sunai deti ,hum sabi daud k uske paas chle jate aur use charo or se gher lete ,aur apni apni frmahish us se keh dete aur wo bde pyaar se use pura bhi krta tha..
Gana khatm hone k baad wo kehta jao bachcho apne apne ghar se bhikchha leke aao,aur fir sabhi bachche daud padte…

Ek din mai ghar pe hi tha sanyog se wo sarangi wala mere ghar bhikchha mangne aaya.
Mere to khushi ka theekana hi ni raha ,mai jaldi se andar gaya aur ek puri daliya bhar k chawal leke aaya aur use de diya.
Aur kaha “baba mujhe apna wo Radha krishna wala geet sunao na mujhe bahot achchh lagta hai”.

Fir wo gaana shuru kiya kuchh der sunne k baad maine use puchha “baba aapka khet ni hai kya” usne kaha hai.fir maine puchha “bachche ” usne kaha h..
Aise hi sawalon ki bauchhar mai kr raha tha tabhi meri maa aagai..

Aur kaha “are kabtak inke gane sunta rahega padhna ni hai kya”maine kaha abi ni raat me padhunga..
Chalo warna baba se keh kar sarangi se tumhara kaan ktwa dungi.
Mai hans kar kaha hehe sarangi bhala kaan kaise kategi??
Fir maa ne sarangiwale se kaha baba iske kaan katwa do sarngi se..

Fir baba ne sarangi se kaha “a sarangi kiska kaan katogi”
uske bajate hue aisi dhun nikali jaise laga wo sarangi keh rai ho “is ladke ka”ye sun kar to mai aisa bhaga k puchho mat..

Raat me sone k time maine maa se kha “maa is sarangi wale k paas to khet hai!! Aur iske bachche b hai”
maa ne hanste hue kaha “sabko pta hai”.

To maine kaha fir wo bheekh kyun mangte hai..

Pta nahi ..

Maa so gai tb bhi mai kaafi der tak jaga raha aur usi sarangi wale k baare me sochta raha.

Jb kuchh smajh me ni aaya to maine apne aapko smjhate hue kaha”chalo badhiya hi to hai jo wo bhikchha mangne hamare galiyo me aata hai,agar ni aata to hume sarangi kaun sunata”
aur isi trah sochte hue kb so gya kuchh pta hi nahi chala..

Aaj bhi jb mai apne gaon jata hun to mujhe wo sarangi wala jarur yaad aata h,par ab na to wo sarangi wala aata hai aur na hi ab bachcho k paas waqt hai ye sb sune ka…

Zamana bdal gya hai,sarangi ki jagah guitar ne le liya h.
Bachcho k jhund ki jagah facebook ne le liya h..

Kabhi palat k dekho apne bachpan k panno ko.

Aur is bhagdaud bhari zindagi se thoda sa waqt nikal k apne bachcho ko BACHPAN JEENA SEEKHAO..

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh