Menu
blogid : 10141 postid : 9

“Dil Ki Baat”

rohit
rohit
  • 5 Posts
  • 1 Comment

Kahi , koi hai jo
Tumse bahut pyaar karta hai…….
Tumse Hamesha baate karna chahta hai.
Tumhe Hamesha apne saath rakhna chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi , koi hai jo
Tumhe aagosh me bhar lena chahta hai
Tumhe palko par bithana chahta hai..
Tum par JAAN dena chahta hai..
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi , koi hai jo
Tumhe khush rakhna chahta hai…
Tum par lattu hona chahta hai…
Tum par nyochhbar hona chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi , koi hai jo
Tumhe apni jaan samjhta hai….
Tumhe apni DHDKN manta hai….
Tumhe apne me sama lena chahta hai
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi , koi hai jo
Tumhare dukh mitana chahta hai…
Tumhare sapne sach karma chahta hai
Tumhare saath jindagi bitana chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi, koi hai jo
Tumhe fuul si muskaan dena chahta hai
Tumhaare aansuo ko khatam kar dena chahta hai..
Tumhe pari bana dena chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi, koi hai jo
Tumhari raaho par fuul bichhana chahta hai..
Tumhare pag se kaante hatana chahta hai….
Tumhe MOTE ki tarah rakhna chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai….

Kahi, koi hai jo
Tumhe chhand tare dena chahta hai..
Tumhe man chaha dena chahta hai..
Tumhe sapno me basana chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai…
Kahi, koi hai jo
Tumhe Saanso me sama lena chahta hai…
Tumhe aankho me chhupa lena chahta hai…
Tumhe khoobsurat ZNDG dena chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai…

Kahi, koi hai jo
Tumhe nayno ka surma banana chahta hai..
Tumhe Haatho ki mehandi banana chahta hai….
Tumhe DIL ki aawaz banana chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai…

Kahi, koi hai jo
Tumhe apna meet banana chahta hai…
Tumhe apna geet banana chahta hai..
Tumhe apna sangeet banana chahta hai
Tumhe apna bana lena chahta hai…

Kahi, koi hai jo
Tumhe apni manjil manta hai
Tumse apni dooriya mita dena chahta hai
Sirf aur sirf tumhaara hona chahta hai
Tumhe apna bana lena chahta hai…
Kahi, koi hai jo
Tumhare gum apna lena chahta hai
Tumhari maayosi hata dena chahta hai
Tumhe apni khushiya dena chahta hai…
Tumhe apna bana lena chahta hai…

Kahi, koi hai jo
Tumhe apna samay dena chahta hai
Tumhe har raaj batana chahta hai…
Tumhe apna sarvasw dena chahta hai…….
Tumhe apna bana lena chahta hai…

Din me, raat me, jaage me, soye me, sirf aur sirf tumhe dekhna chahta hai
Tum par apna sab loota dena chahta hai……
Kahi, koi hai, PAR pata nahi kaha??????

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply