Menu
blogid : 2132 postid : 130

blue line hatane mai adchan kyo?

sunraistournews
sunraistournews
  • 104 Posts
  • 59 Comments

blue line bus rajdhani ke lifeline or killer line banee rahee hai. par sarkaar itne dino tak ek bahana bana rahee thee ki bus nahee hai kabhee driver nahee to kabhee conductor nahee hai. sahee haalat mai kuchh bhee kame nahee hai baran management or sta dono nahee chahte ki blue line road se hatai jaye. kaaran saaf hai ki jis tarah se haadse ho rahe hai or jaam lag rahe hai uske peechhe bhee yahi blue line hai.
sarkaar ne ab man banaaya hai to media davaav banane ka khel khel raha hai. sahee mano mai sarkaar ke pass buses ab paryapat maatra mai hai par media isko bhee rajnetic rang de rahaa hai.
blue line se kisi ko etraaz nahee hai par jaisa inka bhase hai or jistrah ke haadso ko anjaam de rahey hai uska bahut bura parinaam nikalta aaraahaa hai kaafeee samay se.
DTC ko phechhe chalne ko badhya karte hai or bus stop par gher kar bus khare kar dete hai. jisse jaam lagnaa laazmi hai.
rahee baat savario ke to woh jis tarah se dhus dhus kar bhari jaatee hai usme safar karnaa yani maut ko dawat dena hai.
hamari puri vivastha ko jane kya ho gaya hai ki negitive soch ko haavee kar detee hai. abhee hall hee mai CWG game ke douran bhee log ghar se vaahar nikle they?
media ko koshis karnee chahiye ki DTC ke saath cluster scheeme jaldi laai jaye. metro ke baat kee
jaaye to yadi har 2.5 minute mai ek feera chalta hai to sawaario ko to dikkat nahee honei chahiye.
udhar game mai lage buses bhee road par aanee chahiye. parivahan mantree kee baat mai dam hota to game ko samapt huye 15din ho gaye hai or reserve buses ko depote ko hand over kar denee chaheiye thee par aaj bhee melinum bus depot or kisan ghat depot mai buses ka jambara lagaa hai. yaa to in buses ko other depot ko dena chahiye ya un depot ko buses ko route par dalna chahiye saath hee outer delhi mai standrad buse ke fere bada dene chahiye.
yadi iske baad mai bhee buses kam rahtee hai to metro kee feedeer buses ka istemal karnaa shuru karna chahiye.
daar kab tak rahega yeh to total buses ke route par aane par heee pata chalega.
rahee baat gundagardee ke so blue line hatne ke baad hee khatam ho saktee hai. neta nagreee kee ka hawala diya jaa raha hai ki buses ko band karne mai unkee bhumika rahegeee.
par ab yeh soch lena chahiye ki yadi koi bhee sanstha yadi ab adchan paida kartee hai to jimmedari uskee bhee banegee hai.chahey woh koi bhee ho. jab haadse hote hai to ek mat se kaha jaata hai ki sarkaar blue line ke haatho vikeee hai par iskaa faida management ke log utha rahey hai jab time table ke hissab se buses road par nahe de sakenge to un par koi sawal kyo nahee uthata.
STA baar baar kyo parmit barata chala jaa jaata hai.
jab koi haadsa hota hai to media or log sirf sarkaar ko koste hai par jo chala gaya uskaa kya koi lout ke sudh lene wala nahee hota yani sab kuchh uhee honaa hai to kya matlab sarkaar jaisee sansthao ka.
6500 buses yadi route par hai niyamit to jaruree nahee ki kam pare. rahee baat overload kee to peak overs ka dhiyaan to management ko hee rakhnaa hoga.
kahne ka matlab saaf hai yadi sarkaar ne mansa bana lee hai ki blueline hatnee chahiye to hatnee chahiye. saheee kaha parivahan mantree ne ki jaan bachteee hai to deer se hee sahee udhar sarkaar ka saara investment buses ka bhee to janta ka heee paisa hai. uske baad bhee haalat nahee sudhri to kiraya phir paregaa. tab janta hee pisegee?
to sarkaar ke kadam kee sarahana kee jaane chahiye or kisi sanstha ko inke aade nahee aana chahiye. kyoki agle haadse hone par log sarkaar ko kam us sanstha ko jiyada jisne inhe jeeveandan diya?

Tags:   

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh