Menu
blogid : 1671 postid : 20

waapasii

कोना एक रुबाई का
कोना एक रुबाई का
  • 82 Posts
  • 907 Comments

wo jab gayee thee
mere paas
na jaane kitne gham
rakh gayee thee

main sambhal na saka
aor ab betarteebi se
bikhre hai.n ye
kamare me.n mere

wo diary ke panne pe
bikhari huii ik nazm,
bistar ke bagal me
wo ludhaka hua gilaas,
bhari huii aishtray me.n
cigrette ke tamaam tote,
bistar ki silvat me.n
kuchale hue kuch gham,
bina padhe huee rakhe
wo sadiyo.n ke akhbaar………

Wo laot aayi hai,
usne sab bataa diya hai
gaye waqt me.n kya kuch hua,
mere bistar par usne
nayi dhuli dhulaai
chadar daal dee hai,
aishtray ko khali karke
fir se mere paas rakh diya hai usne,
gilaas ko uthakar
udate firte un akhbaro.n ko
dabaa diya hai,
diary me.n jo nazm
bikhari thee
uske ek misre ko
naye maani diye hai.n
aor mere talaffuz me.n bhi
kuch sudhar kar diya hai….

Dekho kis tarah
mere sare ghamo.n ko
usne tarteeb de di hai..
Ki fir jab wo chali jayegi
mai.n inhe betarteeb kar dunga….
-aatish

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh